
Manaa hum qareeb nahi
Magar kyun socha yai tune
Ki tu mujhe azeez nahi ?
Mana dilon me malaal hai
Magar kyun lagta hai tujhe
Ki sirf tera hi bura haal hai ?
Mana ek parchayi hai zindagi
Magar kyun nahi maani tune
Tere dil ki zubaan kabhi ?
Mana hum alag hain
Magar kyun nahi bataya tune
Ki isme kya galat hai ?
Mana ye kashmakash kuchh ajeeb hai
Magar kyun nahi bhulaayi tune
Wo baat jo dil ke qareeb hai?
Mana jawaab kahin nahi hain
Magar kyun nahi puche tune
Wo sawal jo sahi hain ?
Mana ye duniya ki aabroo hai
Magar kyun nahi chhudaya tune
Inn makrooh ki zanjishon se ?
Mana inteqaam nahi ye
Magar kyun nahi pukara tune
Uss be-waqt ki maujudgi me ?
Mana mukammal nahi har ishq
Magar kyun nahi jaana tune
Haqeeqat-e-justajoo ki aarzoo ko ?
Comments
Post a Comment