Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2021

Ek aghaaz

Kayi armaan hain Jo soye huye se hain, Kayi alfaaz hain Jo khoye huye se hain, Kabhi apne andar ki  Lou ko parakh Milenge kayi jazbaat  Jo uljhe huye se hain, Ek aghaaz hai Jo tere darr pe thehra hua hai, Ek anjaam hai Jo tujhse bichadne ko baitha hua hai, Kabhi to aaiyne me Khud ko dhundh Koi to nashaa hai Jo machalne ko baitha hua hai, Jis aag me tu barson jalaa, Jis dhun ko tune arson palaa, Chhod de piche wo sab Jahan se tujhe sirf nikala, Uss gali se nikal, Inn hawaaon me dhal, Gehre samandar ki tarah Kabhi to uchhal.

Maana humne, magar kyun tumne?

Manaa hum qareeb nahi Magar kyun socha yai tune Ki tu mujhe azeez nahi ? Mana dilon me malaal hai Magar kyun lagta hai tujhe Ki sirf tera hi bura haal hai ? Mana ek parchayi hai zindagi Magar kyun nahi maani tune Tere dil ki zubaan kabhi ? Mana hum alag hain Magar kyun nahi bataya tune Ki isme kya galat hai ? Mana ye kashmakash kuchh ajeeb hai Magar kyun nahi bhulaayi tune Wo baat jo dil ke qareeb hai?  Mana jawaab kahin nahi hain Magar kyun nahi puche tune Wo sawal jo sahi hain ? Mana ye duniya ki aabroo hai  Magar kyun nahi chhudaya tune Inn makrooh ki zanjishon se ? Mana inteqaam nahi ye Magar kyun nahi pukara tune Uss be-waqt ki maujudgi me ? Mana mukammal nahi har ishq Magar kyun nahi jaana tune Haqeeqat-e-justajoo ki aarzoo ko ?