Meri besakht-dili ka aalam
Kuchh aisa hai,
Ki har shaks mujhse
Ulajhne se darta hai,
Wo yun sochte
Mere jawaabon par,
Ke isse acchha to
Bebaaq kahin se koodna hai,
Main waaqif hun unn khayalon se
Aur unme gunjte sawalon se,
Meri majboori kuchh aisi hai
Samjhana mushkil jazbaa hai,
Manzoor hai zamaane ki
Nafrat mujhe
Uss mohabbat ke aage,
Jo tabaah kare
To kuchh uss andaz mein
ke zamaana bhi sochta rahe
Ghash khaake,
Lihaaz rakhna waajib hai
Uss ghuroor ke aage,
Jisne dafnaa diya apnon ko
Apni aankhon ke saamne.

Comments
Post a Comment