Skip to main content

Dil kehta hai

Dil kehta hai
Awaaz bann jaaun,
Tuti hui muraadon ki
Buniyaad bann jaaun,
Yun to aur bhi bohot kuch
Kehta hai dil,
Par kabhi lagta hai,
Ek aghaaz bann jaaun,

Armaan kayi dabe hue hain
Meri hasrat mei,
Sochti hun main ye
Har uss waqt me,
Jo karwaate hain mujhe waqif
Beshaq saahil se,
Doobti meri kashti 
Ho jaati fanaah jis mehfil me,

Waqt ka taghaza kahun
Ya mausam ki bouchhaar,
Ise main apni qismat bataun
Ya dil ki pukaar,
Inn jaagti ummeedon ke baare me
Kya bataun janab,
Inhe to kabhi kabhi 
Meri razaa bhi lagti hai bekaar,

Aaiyna hun me
Uss faryaad ka,
Jo nikalti hai
Uss muqaam pe,
Arsaa ho gaya jisko
Dil behlate hue kaam pe,

Mujhse nazar na pherna,
meri aankhon me dekhna,
Naa mile agar wo darya-dili,
To apne aap me jhaankna.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aarzoo..

Pehle to yeh aarzoo thi Ki guft-a-goo hi ho jaaye, Magar munasib to yeh hua Ki arzoo hi badal dii jaaye Bair nahi unse Basss ek dil mai  Chubhan si hai, Unhi ki baaton se Ab uljhan si hai Unka na aana  Jaise hi mumkin hua, Dil me Khushi  Ka nazrana Maniye jaise  Gulshan hua Baatein hi toh hain, Kisi aur se kar lenge, Gham hi toh hain, Kahin aur baat lenge, Dil hi toh hai, Kisi aur se laga lenge, Mann hi toh hai, Jaise taise samjha lenge

Chhoti si zindagi

Ek Chhoti si zindagi me Kitne ghamon se hum Guzar jaate hain, Yakeenan kitni baar, marr kar Wapas aa jaate hain, Ajeeb dastaanon me Ulajh jaate hain, Naye kirdaaron me Simat jaate hain, Armanon ki aag me Sulag jaate hain, Aur kabhi kabhi toh, Khud se bichhad kar bhi Laut aate hain

Teri berukhi..

Teri berukhi me Chhupe huye kai jawaab hain, Ham nadaan nahi Magar tu kahan kharaab hai Kuchh dard bhare sawaal  Jab kiye apne aap se, Jawaab aaye kayii Umeedon ke hisaab se Ehsaan nahi aapka Madad naam dijiye, Insaan hain aap Khuda mat samajhiye Maana waqt bura hai Kabhi hamara to kabhi aapka Badalta bhi to wahi hai Na thehra wo kisi raat ka, Shikayatein nahi Ehsaas bayaan karte hain, Gaur farmaaiyye Aapko bhi yaad karte hain Baithiye kisi kinaare Bewaqt saath hamare, Musafir hi to hain, Samajhiye zara ishaare.